sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya - Ahmed Faraz
sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya
jab k khud pathar ko but,but ko khuda main ne kiya
kaise na-maanoos lafzon ki kahaani tha wo shakhs
uss ko kitni mushkilon se tarjuma main ne kiya
wo meri pehli mohabbat,wo meri pehli shikast
phir to paimaan-e-wafa sau martaba main ne kiya
hun saza-vaar-e-saza kyun jab muqaddar mein mere
jo bhi uss jaan-e-jahaan ne likh diya,main ne kiya
wo theherta kya k guzra tak nahin jis k liye
ghar to ghar har raasta aaraasta main ne kiya
mujh pe apna jurm saabit ho na ho lekin faraz
loag kehte hain k uss ko bewafa main ne kiya
0 comments:
Post a Comment