Monday 28 November 2011

avval avval ki dosti hai abhi - Ahmed Faraz

avval avval ki dosti hai abhi
ik ghazal hai k ho rahi hai abhi

main bhi shehr-e-wafa mein nau-vaarid
wo bhi ruk ruk k chal rahi hai abhi


main bhi aisa kahan ka zood-shinaas
wo bhi , lagta hai , sochti hai abhi

dil ki waaraftagi hai apni jagaa
phir bhi kuch ehteyaat si hai abhi

gar-cheh pehla sa ijtanaab nahin
phir bhi kam kam sapurdagi hai abhi

khud-kalaami mein kab ye nasha tha
jis tarha ru-ba-ru koi hai abhi

qurbatein laakh khoobsoorat hon
dooriyon mein bhi dil-kashi hai abhi

raat kis maah-wash ki chaahat mein
shabnamistaan saja rahi hai abhi

main bhi kis vaadi-e-khayaal mein tha
barf si dil pe gir rahi hai abhi

zindagi ku-e-na-muraadi se
kisko mur mur k dekhti hai abhi

iss qadar khich gaee hai jaan ki kamaan
aisa lagta hai tootti hai abhi

aisa lagta hai khalvat-e-jaan mein
wo jo ik shakhs tha wohi hai abhi

muddatein ho gaeen faraz magar
wo jo deewaangi k thi,hai abhi

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved