Monday 28 November 2011

gaisu-e-shaam mein aik sitaara aik kahyaal - Ahmed Faraz

gaisu-e-shaam mein aik sitaara aik kahyaal
dil mein liye phirte hain tumhara aik kahyaal

baam-e-falak par sooraj,chaand,sitaar e tha
ham ne beyaaz-e-dil pe utaara aik khayaal


kabhi to un ko bhi dekho,jin logon ne
umr ganwaai aur sanwaara aik kahayaal

yaad k sheher k shor se kaale koson door
dasht-e-faraamoshi se pukaara aik khayaal

yun bhi hua hai dil k muqaabil dunia thi
phir bhi na haara phir bhi na haara aik khayaal

mujh par zarab pari to khalqat ne dekha
meri bajaaye paara paara aik khayaal

aik musaafat,aik udaasi,aik faraz
aik tamnna,aik sharaara,aik khayaal

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved