main ke phir dasht-e-rafaaqat kaa safar kar aayaa - Ahmed Faraz
main ke phir dasht-e-rafaaqat kaa safar kar aayaa
kyaa kahuun kitnii aziiyat se guzar kar aayaa
har ko?ii ham se milaa umr-e-gurezaan ki tarah
vo to jis dil se bhii guzraa vahiin ghar kar aayaa
tum ne ek sang uthaayaa mere aaiine par
aur har shakhs ko main aaiina-gar kar aayaa
mujhse kyaa puuchte ho shah?r-e-vafaa kaisaa hai
aise lagtaa hai saliibon se utar kar aayaa
sirf chehre hii agar kurb ke aaiine hain
kyun na main dil kaa lahuu aankh men bhar kar aayaa
0 comments:
Post a Comment