ab tak tere fitnay hain salamat ussay kehna - Ahmed Faraz
ab tak tere fitnay hain salamat ussay kehna
yaaro! sar-e- mehshar bhe qayamat ussay kehna
ay hum-nafsoo, mehw-e-gham-e-jan hain abhe hum
aain gay, sar-e-koo-e-malamat, ussay kehna
ik wo he nahe tarq-e-taaluq pay pashymaan
hy ahl-e-wafa ko bhe nadamat, ussay kehna
ay dil zadgaan! mooat hy izhaar -e- tamanna
wo but ho khuda bhe, to khuda mat ussay kehna
her jaghah faraz in dinoon badnaam hy phir bhe,
haalat ka hy maara, bura mat ussay kehna
0 comments:
Post a Comment