Monday 28 November 2011

abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek - Ahmed Faraz

abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek
dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish main shareek

ta hamain tark e taaluq ka bohat ranj na ho
aao tum ko bhi karain ham isi koshish main shareek


ik to wo jism tilismaat ka ghar lagta hai
us pe hai neeiyat e khaayat bhi poshish main shareek

sari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko
kya karay dil bhi k duniya hai sifarish main shareek

itna sharmindah na kar apnay gunahgaroon ko
aaye khuda tu bhi raha hai meri khwahish main shareek

lafz ko phool banana to karishma hai faraz!
ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved