Monday 28 November 2011

girufta dil-e-andleeb ghaiel gulaab dekhay - Ahmed Faraz

girufta dil-e-andleeb ghaiel gulaab dekhay
mohabbatoon ne sabhi rutto'n mai azaab dekhay

wo din bhi aaye saleebger bhi saleeb par hoon
yeh shaher ik roz phir se youm-e-hisaab dekhay


yeh subhai-e-kazib tu raat se bhi taweel ter hai
kay jaisay saddiyaa'n guzer gayee'n aftaab dekhay

wo chasham-e-mehroom kitni mehroom hai kay jis ne
na khawaab dekhay na rutjagoo'n kay azaab dekhay

kahaan ki ankhain kay ab tu chehroo'n pay aablay hain
orr abbloo'n se bhala koi kaisay khawaab dekhay

ajab nahi hai kay khushboo'n se hai shaher khali
kay mai ne dehleez-e-qattlaa'n par gulaab dekhay

yeh saait-e-deed orr wehshat barha gayee
kay jiasay koi janoo'n zadda mahtaab dekhay

mujhay tu hum muktabi kay din yaad aa gaye hain
kay mai usay parh raha hoon orr wo kitaab dekhay

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved