Thursday 8 December 2011

jis tarah kii hain ye diivaaren ye dar jaisaa bhii hai - Anwar masood

jis tarah kii hain ye diivaaren ye dar jaisaa bhii hai
sar chhipaane ko mayassar to hai ghar jaisaa bhii hai

us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumaar
merii chaahat kaa hai mahavar ye nagar jaisaa bhii hai


chal padaa huun shauq-e-beparvaah ko murshad maan kar
raastaa purpech hai yaa purkhatar jaisaa bhii hai

sab gavaaraa hai thakan saarii dukhan saarii chubhan
ek khushbuu ke liye hai ye safar jaisaa bhii hai

vo to hai makhsuus ik terii mohabbat ke liye
teraa 'Anwar' baahunar yaa behunar jaisaa bhii hai

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved