Sunday 6 November 2011

ye aur baat terii galii men na aayen ham - Habib Jalib

ye aur baat terii galii men na aayen ham
lekin ye kyaa ki shahar teraa chhod jaayen ham

muddat huii hai kuu-e-butaan kii taraf gaye
aavaaragii se dil ko kahaan tak bachaayen ham


shaayad baqaid-e-ziist ye saaat na aa sake
tum daastaan-e-shauq suno aur sunaayen ham

benuur ho chukii hai bahut shahar kii fazaa
taariik raaston men kahiin kho na jaayen ham

us ke baGair aaj bahut jii udaas hai
'Jalib' chalo kahiin se use dhuundh laayen ham

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved