Sunday 6 November 2011

aur sab bhuul gaye harf-e-sadaaqat likhanaa - Habib Jalib

aur sab bhuul gaye harf-e-sadaaqat likhanaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhanaa

laakh kahate rahen zulmat ko na zulmat likhanaa
ham ne siikhaa hii nahiin pyaare baaijaazat likhanaa


na sile kii na sitaaish kii tamannaa ham ko
haq men logon ke hamaarii to hai aadat likhanaa

ham ne jo bhuul ke bhii shaah kaa qasiidaa na likhaa
shaayad aayaa isii khuubii kii badaulat likhanaa

us se badh kar merii tahasiin bhalaa kyaa hogii
padh ke naakhush hain meraa saahab-e-sarvat likhanaa

dahar ke Gam se huaa rabt to ham bhuul gaye
sarv qaamat kii javaanii ko qayaamat likhanaa

kuchh bhii kahate hain kahen shaah ke masaahib 'Jalib'
rang rakhanaa yahii apanaa isii suurat likhanaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved