Sunday 6 November 2011

vo thakaa huaa merii baahon men zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa- Bashir Badr

vo thakaa huaa merii baahon men zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa
abhii main ne dekhaa hai chaand bhii kisii shaakh-e-gul pe jhukaa huaa

jise le gaii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
kahiin aansuon se mitaa huaa kahiin aansuon se likhaa huaa


kaii miil ret ko kaat kar koii mauj phuul khilaa gaii
koii ped pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas khadaa huaa

mujhe haadason se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyon se rachaa huaa

vahii khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honthon ke chaand the
kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa

vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchhanaa vo darakht anaar kaa kyaa huaa

mere saath juganuu hai hamsafar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG koii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved