Monday 28 November 2011

tarus raha hoon mager tu nazer na mujh ko - Ahmed Faraz

tarus raha hoon mager tu nazer na mujh ko
kay khud judda hai tu mujh se na ker judda mujh ko

wo kapkapatay howay hont meray shanay par
wo khawaab saanp ki manind dus gaya mujh ko


chattakh ottha hoon sulaghti chattan ki surat
pukaar ab tu meray deer ashna mujh ko

tujhay tarash kay mai sakht munfaiel hoon kay log
tujhay sanum, tu samjhnay lagay khuda mujh ko

yeh orr baat kay akser damak ottha chehraa
kabhi kabhi yehi shulaa bhujaa gaya mujh ko

yeh qurbattai'n he tu wajha-e-firaaq thairi hain
bohat aziz hain yaraan-e-bewaffa mujh ko

situm tu yeh hai kay zalim sukhan shanaas nahi
wo ek shaks kay shaier banna gaya mujh ko

usay faraz ager dukh na tha bichernay ka
tu kiyon wo door tallak dekhta raha mujh ko

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved