Monday 28 November 2011

kal shab tha ajab deed ka manzar mere aagay - Ahmed Faraz

kal shab tha ajab deed ka manzar mere aagay
duniya thi na honay k barber mere aagay

jaisay mutalatim ho samander mere ander
jaisay ho koi maah e munawar mere aagay
us waqt na thi aankh jhapaknay ki bhi fursat
ik shehr e tilismaat tha yaksar mere aagay

us waqt na tha dil ko dhadknay ka bhi yaara
ik aalam e hairat tha sarasar mere aagay

khuddam behergaam liye jaam istaadah
lab basta kanizaan e saman bar mere aagay

laaye koi meena e mae e tund lapak kar
rakh dey koi taazeem se saghar mere aagay

chup chup k koi chust karay tang qaba ko
hans hans k utaray koi zaywar mere aagay

ik mast ada kakul e mushkeen ko bikharay
lay aae daff o ching utha kar merey aagay

jaisay ho mere samnay shaddad ki jannat
jaisay ho sanam khana e aazar mere aagay

jaisay koi gul chehra peri cham se utar aaye
aur raqs karay naaz se aa kar mere aagay

shu'ala sa badan zulf ki makhmal main lapatay
jaisay ho koi khwab sa paikar mere aagay

yun jaisay k jaadu sa jagata chala jaaye
ik aafat e jaan fitna e mehshar mere aagay

yaaqoot se lab saru sa qadd raat se aankhain
wo jaan e qayamat thi mere ghar mere aagay

wo kaifiyaat e dil thi k behzaad ka fun kya
hafiz ki ghazal bhi thi farr o tarr mere aagay

aae gardish e douraan zara aahista qadm rakh
ye saa'at e guzraan hai ghadi bhar mere aagay

aae mousam e hijraan abhi kuch dair tawaqqaf
aana ha to aa jana thehr kar mere aagay

aasoodgi e qurb ki aazaa shikaani se
hai neend main ghafil mera dilbar mere aagay

aae subhe judaai abhi ruk jaa k sitamgar
aaisay bhi na jagay thay muqaddar mere aagay

shayad k faraz aaj kisi roop nagar se
aai hai qaza bhais badal kar mere aagay!

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved