Saturday 5 November 2011

phir is andaaz se bahaar aaii - Mirza Ghalib

phir is andaaz se bahaar aaii
ke huye mehar-o-maah tamaashaaii

dekho ai sakinaan-e-khittaa-e-khaak
is ko kahate hain aalam-aaraaii


ke zamiin ho gaii hai sar taa sar
ruukash-e-satahe charkhe minaaii

sabze ko jab kahiin jagah na milii
ban gayaa ruu-e-aab par kaaii

sabz-o-gul ke dekhane ke liye
chashm-e-nargis ko dii hai binaaii

hai havaa men sharaab kii taasiir
badaanoshii hai baad paimaaii

kyuun na duniyaa ko ho khushii "ghalib"
shaah-e-diindaar ne shifaa paii

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved