Saturday 5 November 2011

mumkin nahiin mataa-e-suKhan mujh se chhiin le - Nasir Kazmi

mumkin nahiin mataa-e-suKhan mujh se chhiin le
go baagbaan ye kanj-e-chaman mujh se chhiin le

gar ehataraam-e-rasm-e-vafaa hai to ai Khudaa
ye ehataraam-e-rasm-e-kohan mujh se chhiin le


manzar dil-o-nigaah ke jab ho gaye udaas
ye be-fazaa ilaaqaa-o-tan mujh se chiin le

gulrez merii naalaakashii se hai shaaKh shaaKh
gulchiin kaa bas chale to ye fan mujh se chhiin le

siinchii hain dil ke Khuun se main ne ye kyaariyaan
kis kii majaal meraa chaman mujh se chhiin le

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved