kisane vaadaa kiyaa hai aane kaa - Josh Malihabadi
kisane vaadaa kiyaa hai aane kaa
husn dekho gariib Khaane kaa
ruuh ko aaiinaa dikhaate hain
dar-o-diivaar muskuraate hain
aaj ghar, ghar banaa hai pahalii baar
dil men hai Khush saliiqagii bedaar
jamaa samaan hai aish-o-ishrat kaa
Khauf dil men fareb-e-qismet kaa
soz-e-qalb-e-kaliim aankon men
ashk-e-ummiid-o-biim aankhon men
chashm-bar-raah-e-shauq ke maare
chaand ke intazaar men taare
0 comments:
Post a Comment