Friday 4 November 2011

Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu - faiz ahmed faiz

Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu
sukuun kii niind tujhe bhii haraam ho jaaye

terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye


gamon se aaiinaa-e-dil gudaaz ho teraa
Hujuum-e-yaas se betaab hoke rah jaaye

wafuur-e-dard se siimaab ho ke rah jaaye
teraa shabaab faqat Khwaab ho ke rah jaaye

guruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraa
tawiil raaton men tuu bhii qaraar ko tarase

terii nigaah kisii gamgusaar ko tarase
Khizaanrasiidaa tamannaa bahaar ko tarase

koii jabiin na tere sang-e-aastaan pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare

fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye

wo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii hai
wo aankh jis ko teraa intazaar ab bhii hai

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved