kaun kahataa hai ke maut aaii to mar jaauungaa - Ahmed Nadeem Qasmi
kaun kahataa hai ke maut aaii to mar jaauungaa
main to dariyaa huun samandar men utar jaauungaa
teraa dar chhod ke main aur kidhar jaauungaa
ghar men ghir jaauungaa saharaa men bikhar jaauungaa
tere pahaluu se jo uthuungaa to mushkil ye hai
sirf ik shaKhs ko paauungaa jidhar jaauungaa
ab tere shahar men aauungaa musaafir kii tarah
saayaa-e-abr kii maanind guzar jaauungaa
teraa paimaan-e-vafaa raah kii diivaar banaa
varnaa sochaa thaa ke jab chaahuungaa mar jaauun gaa
chaaraasaazon se alag hai meraa mayaar ke main
zaKhm khaauungaa to kuchh aur sanvar jaauun gaa
ab to Khurshiid ko duube hue sadiyaan guzariin
ab use dhuundhane main taa-ba-sahar jaauungaa
zindagii shammaa kii maanind jalaataa huun 'nadeem'
bujh to jaauungaa magar subah to kar jaauungaa
0 comments:
Post a Comment