Friday 4 November 2011

kahiin to kaaravaan-e-dard kii manzil thahar jaaye - faiz ahmed faiz

kahiin to kaaravaan-e-dard kii manzil thahar jaaye
kinaare aa lage umr-e-ravaan yaa dil thahar jaaye

amaan kaisii ki mauj-e-Khuun abhii sar se nahiin guzarii
guzar jaaye to shaayad baazuu-e-qaatil thahar jaaye


koii dam baadabaan-e-kashtii-e-sahabaa ko tah rakho
zaraa thaharo gubaar-e-Khaatir-e-mahafil thahar jaaye

hamaarii Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaan hai jo pal bhar bas lab-e-saahil thahar jaaye

nigaah-e-muntazir kab tak karegii aaiinaabandii
kahiin to dasht-e-gam men yaar kaa mahamil thahar jaaye

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved