Saturday 5 November 2011

jo is shor se 'Meer' rotaa rahegaa - Meer Taqi Meer

jo is shor se 'Meer' rotaa rahegaa
to ham-saayaa kaahe ko sotaa rahegaa

main vo ronewaalaa jahaan se chalaa huun
jise abr har saal rotaa rahegaa


mujhe kaam rone se hardam hai naasih
tuu kab tak mere muunh ko dhotaa rahegaa

base giriyaa aankhen terii kyaa nahiin hain
jahaan ko kahaan tak dubotaa rahegaa

mere dil ne vo naalaa paidaa kiyaa hai
jaras ke bhii jo hosh khotaa rahegaa

tuu yuun gaaliyaan gair ko shauq se de
hamen kuchh kahegaa to hotaa rahegaa

bas ae 'Meer' mizhgaan se ponchh aansuon ko
tuu kab tak ye motii pirotaa rahegaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved