Sunday 6 November 2011

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah - Mohsin Naqvi

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andheron kii raah men juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye


phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaaii de
na shab kate na suraaG-e-sahar dikhaaii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii

ke tez havaaon kii zard maail naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rahguzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile

hamaarii simt na dekho ke koii der men ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hain
base basaaye huye shahar apanii aankhon ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan ujadane vaale hain

havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke khemen ukhadane vaale hain

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved