Monday 7 November 2011

hai justajuu ke khuub se hai khuubtar kahaan - Altaf Husain Hali

hai justajuu ke khuub se hai khuubtar kahaan
ab dekhiye thaharatii hai jaa kar nazar kahaan

yaarab is ikhtilaat ka anjaam ho baakhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahaan


ik umr chaahiiye ke gavaaraa ho naish-e-ishq
rakkhii hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahaan

ham jis pe mar rahe hain vo hai baat hii kuchh aur
aalam men tujhase laakh sahii tuu magar kahaan

hotii nahiin qubuul duaa tark-e-ishq kii
dil chaahataa na ho to zubaan men asar kahaan

'hali' nishaat nagmaa-o-mai dhuundhate ho ab
aaye ho waqt-e-subh, rahe raat bhar kahaan

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved