Friday 4 November 2011

haaN dil-e-dard_mand zam-zamaa saaz

haaN dil-e-dard_mand zam-zamaa saaz
kyuuN na khole dar-e-Khazinaa-e-raaz

Khaame kaa safhe par ravaaN honaa
shaaKh-e-gul kaa hai gul-fishaaN honaa


mujh se kyaa puuchhataa hai kyaa likhiye
nuqtaa haaye KhiradafishaaN likhiye

baare, aamon kaa kuchh bayaaN ho jaaye
Khaamaa naKhle ratabafishaaN ho jaaye

aam kaa kaun mard-e-maidaaN hai
samar-o-shaaKh, guve-o-chaugaaN hai

taak ke jii men kyuuN rahe armaaN
aaye, ye guve aur ye maidaaN!

aam ke aage pesh jaave Khaak
phoDataa hai jale phaphole taak

na chalaa jab kisii tarah maqaduur
baadaa-e-naab ban gayaa anguur

ye bhii naachaar jii kaa khonaa hai
sharm se paanii paanii honaa hai

mujhase puuchho, tumhen Khabar kyaa hai
aam ke aage neshakar kyaa hai


na gul us men na shaaKh-o-barg na baar
jab KhizaaN aaye tab ho us kii bahaar

aur dauDaaiie qayaas kahaaN
jaan-e-shiiriiN men ye miThaas kahaaN

jaan men hotii gar ye shiiriinii

'kohakan' baavajuud-e-Gam_giinii

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved