ghar hamaaraa, jo na rote bhii, to viraan hotaa
bahr gar bahr na hotaato bayaabaan hotaa
tangi-e-dil kaa gilaa kyaa, ye wo kaafir dil hai
ke agar tang na hotaa, to pareshaan hotaa
baad-e-yak umr-e-waraa, baar to detaa baare
kaash rizawaan hii dar-e-yaar kaa darabaan hotaa
0 comments:
Post a Comment