diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de - Behzad Lucknawi
diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de
warnaa kahiin taqdiir tamaashaa na banaa de
aye dekhanewaalon mujhe hans hans ke na dekho
tum ko bhii mohabbat kahiin mujh saa na banaa de
main dhuundh rahaa huun merii wo shammaa kahaan hai
jo bazm kii har chiiz ko parwaanaa banaa de
aakhir koii suurat bhii to ho Khaanaa-e-dil kii
Kaabaa nahiin banataa hai to butKhaanaa banaa de
"Behzad" har ek jaam pe ek sajdaa-e-mastii
har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaan naa banaa de
0 comments:
Post a Comment