aankh ko jaam samajh baiThaa thaa anjaane men - Shamim Shahabad
aankh ko jaam samajh baiThaa thaa anjaane men
saaqiyaa hosh kahaan thaa tere diivaane men
jaane kis baat kii un ko hai shikaayat mujh se
naam tak jin kaa nahiin hai mere afasaane men
dil ke Tukadon se terii yaad kii Khushbuu na gaii
buu-e-mai baaqii hai TuuTe hue paimaane men
dil-e-barbaad men ummiid kaa aalam kyaa hai
Tim-Timaatii huii ik shammaa hai viiraane men
0 comments:
Post a Comment