aur to koii bas na chalegaa hijr ke dard ke maaron kaa - Ibne Insha
aur to koii bas na chalegaa hijr ke dard ke maaron kaa
subah kaa honaa duubhar kar den rastaa rok sitaaron kaa
jhuuthe sikkon men bhii uthaa dete hain aksar sachchaa maal
shaklen dekh ke saudaa karanaa kaam hai in banjaaron kaa