sharab aag hai saki, janta hun magar
sharab aag hai saki, janta hun magar
bana ke aag ko paani, mujhe pilaaye ja
sukoon, jiska naam liya humnashin tune
kahan hai, kaun hai, kya hai, zara bataye ja
ye mera farz ki mai tujhko dhundne nikloon
ye tera kaam ki rasta mujhe bataye ja
nigaah muntazir us daur ki hai, ae saki
ki wo pilaye mujhe, main kahoon, pilaye ja
0 comments:
Post a Comment