Thursday 8 December 2011

firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye - Aziz Hamid Madni

firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye
subuk huye hain to aish-e-malaal se bhii gaye

jo but-kade men the vo sahibaan-e-kashf-o-kamaal
haram men aaye tp kashf-o-kamaal se bhii gaye


usii nigaah kii narmii se dag-magaa gaye qadam
usii nigaah ke tevar sambhaal se bhii gaye

gam-e-hayaat-o-gam-e-dost kii kashaakash men
ham aise log to ranj-o-malaal se bhii gaye

vo log jin se terii bazm men the hangaame
gaye to kyaa terii bazm-e-khayaal se bhii gaye

ham aise kaun the lekin qafas ki ye duniyaa
ke par-shikaston men apanii misaal se bhii gaye

charaag-e-bazm abhii jaan-e-anjuman na bujhaa
ke ye bujhaa to tere khad-o-khaal se bhii gaye

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved