zaraa sii baat pe har rasm tod aayaa thaa - Jan Nissar Akhtar
zaraa sii baat pe har rasm tod aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa
muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamhaa ki main tujh se tang aayaa thaa
shaguftaa phuul simat kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa
guzar gayaa hai koii lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to main use pahachaan bhii na paayaa thaa
pataa nahiin ki mere baad un pe kyaa guzarii
main chand Khvaab zamaane men chhod aayaa thaa
0 comments:
Post a Comment