zamiin pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa - Shahid Kabir
zamiin pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa
kaTaa ke par ko parindaa udaan se bhii gayaa
tabaah kar gaii pakke makaan kii Khvaahish
main apane gaaon ke kachche makaan se bhii gayaa
paraaii aag men Khud kyaa milaa tujh ko
use bachaa na sakaa apanii jaan se bhii gayaa
bhulaanaa chaah to bhulaane kii intehaa kar dii
vo shaKhs ab mere vahm-o-gumaan se bhii gayaa
kisii ke haath kaa nikalaa huaa vo tiir huun main
hadaf ko chhuu a sakaa aur kamaan se bhii gayaa
0 comments:
Post a Comment