Friday 4 November 2011

ye daag daag ujaalaa, ye shabgaziidaa sahar - faiz ahmed faiz

ye daag daag ujaalaa, ye shabgaziidaa sahar
wo intazaar thaa jis kaa, ye wo sahar to nahiin
ye wo sahar to nahiin jis kii aarazuu lekar
chale the yaar ki mil jaayegii kahiin na kahiin


falak ke dasht men taron kii aaKharii manzil
kahiin to hogaa shab-e-sust mauj kaa saahil
kahiin to jaa ke rukegaa safinaa-e-gam-e-dil
jawaan lahuu kii pur-asaraar shaaharaahon se
chale jo yaar to daaman pe kitane haath pade
dayaar-e-husn kii be-sabr Khwaab-gaahon se
pukaratii rahiin baahen, badan bulaate rahe
bahut aziiz thii lekin ruKh-e-sahar kii lagan
bahut qariin thaa hasiinaan-e-nuur kaa daaman
subuk subuk thii tamannaa, dabii dabii thii thakan
sunaa hai ho bhii chukaa hai firaq-e-zulmat-e-nuur
sunaa hai ho bhii chukaa hai wisaal-e-manzil-o-gaam
badal chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastuur
nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam
jigar kii aag, nazar kii umang, dil kii jalan
kisii pe chaaraa-e-hijraan kaa kuchh asar hii nahiin
kahaan se aaii nigaar-e-sabaa, kidhar ko gaii
abhii chiraag-e-sar-e-rah ko kuchh Khabar hii nahiin
abhii garaani-e-shab men kamii nahiin aaii
najaat-e-diida-o-dil kii ghadii nahiin aaii
chale chalo ki wo manzil abhii nahiin aaii

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved