Monday 7 November 2011

subah kii aas kisii lamhe jo ghat jaatii hai - Jan Nissar Akhtar

subah kii aas kisii lamhe jo ghat jaatii hai
zindagii saham ke Khvaabon se lipat jaatii hai

shaam dhalate hii teraa dard chamak uthataa hai
tiiragii duur talak raat kii chhat jaatii hai


barf siinon kii na pighale to yahii ruud-e-hayaat
juu-e-kam-aab kii maanind simat jaatii hai

aahaten kaun sii Khvaabon men basii hai jaane
aaj bhii raat gaye niind uchat jaatii hai

haan Khabar-daar ki ik lagzish-e-paa se bhii kabhii
saarii taariiKh kii raftaar palat jaatii hai

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved