Friday 11 November 2011

shab tum jo bazm-e-gair men aankhen churaa gaye - Momin Khan Momin

shab tum jo bazm-e-gair men aankhen churaa gaye
khoye gaye ham aise ke agyaar paa gaye

majalis men us ne paan diyaa apane haath se
agyaar sabz bakht the ham zahar khaa gaye


gairon se ho vo pardaanashiin kyon na behijaab
dam haay be-asar mere pardaa uthaa gaye

vaaiz ke zikr-e-mehar-e-qayaamat ko kyaa kahuun
aalam shab-e-vasl ke aankhon men chhaa gaye

duniyaa hii se gayaa main jo nahiin naaz se kahaa
ab bhii gumaan-e-bad na gaye tere yaa gaye

ai "momin" aap kab se hue bandaa-e-butaan
baare hamaare ??? men hazarat bhii aa gaye

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved