Tuesday 15 November 2011

ruuh bakhshii hai kaam tujh lab kaa - Wali Mohammed Wali

ruuh bakhshii hai kaam tujh lab kaa
dam-e-isaa hai naam tujh lab kaa

husn ke khizr ne kiyaa labarez
aab-e-haivaan son jaam tujh lab kaa


mantaq-o-hikmat-o-maanii par
mushtamil hai kalaam tujh lab kaa

rag-e-yaquut ke qalam son likhen
khat parastaan payaam tujh lab kaa

sabzaa-o-barg-o-laalaa rakhate hain
shauq dil men davaam tujh lab kaa

gurq-e-shukar hue hain kaam-o-zabaan
jab liyaa huun main naam tujh lab kaa

hai "Wali" kii zabaan kon lazzat bakhsh
zikr har subh-o-shaam tujh lab kaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved