qariib maut khadii hai zaraa Thahar jaao - Saifuddin Saif
qariib maut khadii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aankh ladii hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaayen bujhe bujhe taare
badii udaas ghadii hai zaraa Thahar jaao
nahiin ummiid ki ham aaj kii sahar dekhen
ye raat ham pe kadii hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaron kaa dil dhadakataa hai
tamaam raat padii hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko rokenge
labon pe saans adii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq men jii bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghadii hai zaraa Thahar jaao
0 comments:
Post a Comment