Sunday 27 November 2011

phuul khushbuu jhiil mausam dhuup titalii aur havaa - Sarvesh Chandosi

phuul khushbuu jhiil mausam dhuup titalii aur havaa
sab ke cheharon par udaasii tere jaane ke baad

kam nahiin hongii dasht-e-tanhaaii kii raunaqen
ek diivaanaa hansegaa ek diivaane ke baad


labon par jaan rakh dii hai use khabar kar do
mariiz us kaa abhii hai use khabar kar do

salaakhen chuum rahe hain jo qaidkhaane kii
sazaa us kii vahii hai use khabar kar do

jab bikaa baazaar men yuusuf thaa main
daar pe latakaa to main mansuur thaa

sabhii ne koshishen kar liin magar tere sadqe
falak pe shams azaan-e-bilaal se nikalaa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved