na tera qrb hai na bada hai kia kya jaaye - Ahmed Faraz
na tera qrb hai na bada hai kia kya jaaye
phr aaj dukh bhi zyada hai kia kya jaye
hamey bhi arz-e-tamanna ka dhub nahi ata
mizaj-e-yaar bhi saada hai kia kya jaye
kuch apney dost bhi rarkash badosh phirtey hain
kuch apna dil bhi saada hai kia kya jaye
vo meherban hai magar dil ki hiras bhi kum ho
talb,karam se zyada hai kia kya jaye
na us se trk-e-talluk ki baat kar payen
na hamdami ka erada hai kia kya jaye
saluk-e-yaar se dil doobney laga hai faraz
magar ye mehfi-e-aada hai kai kya jaye
0 comments:
Post a Comment