na jaane aaj ye kis kaa khayaal aayaa hai - Ahmad Hamdani
na jaane aaj ye kis kaa khayaal aayaa hai
khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai
vo ek shakhs ki haasil na thaa jo khud ko bhii
mitaa kisii pe to kaisaa bahaal aayaa hai
zubaan pe harf-e-talab bhii nahiin koii phir bhii
nigaah-e-dost men rang-e-jalaal aayaa hai
kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai
nahiin hai tum se koii dostii bhii ab to magar
qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai
0 comments:
Post a Comment