Sunday 6 November 2011

na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai - Firaq Gorakhpuri

na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai
hamaarii zindagii bhii zindagii hai

tere gam se shikaayat-sii rahii hai
mujhe sach-much badii sharmindagii hai


mohabbat men kabhii sochaa hai yuun bhii
ki tujh se dostii yaa dushamanii hai

koii dam kaa huun mehamaan muunh na phero
abhii aankhon men kuchh kuchh roshanii hai

zamaanaa zulm mujh par kar rahaa hai
tum aisaa kar sako to baat bhii hai

jhalak maasuumiyon men shoKhiyon kii
bahut rangiin terii saadagii hai

ise sun lo sabab is kaa na puuchho
mujhe tum se mohabbat ho gaii hai

sunaa hai ik nagar hai aansuon kaa
usii kaa dusaraa naam aankh bhii hai

vahii terii mohabbat kii kahaanii
jo kuchh bhuulii huii kuchh yaad bhii hai

tumhaaraa zikr aayaa ittefaaqan
na bigado baat par baat aa gaii hai

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved