Sunday 6 November 2011

merii zindagii hai zaalim, tere gam se aashkaaraa - Shakeel Badayuni

merii zindagii hai zaalim, tere gam se aashkaaraa
teraa gam hai dar-haqiiqat mujhe zindagii se pyaaraa

vo agar buraa na maane to jahaan-e-rang-o-buu men
main sukuun-e-dil kii khaatir koii dhuundh luun sahaaraa


ye fulak fulak havaayen ye jhukii jhukii ghataayen
vo nazar bhii kyaa nazar hai jo samajh na le ishaaraa

mujhe aa gayaa yaqiin saa yahii hai merii manzil
sar-e-rah jab kisii ne mujhe daffa'atan pukaaraa

main bataauun farq naasih, jo hai mujh men aur tujh men
merii zindagii talaatum, terii zindagii kinaaraa

mujhe guftaguu se badakar gam-e-izn-e-guftaguu hai
wahii baat puuchhte hain jo na kah sakuun dobaaraa

koii aye 'shakeel' dekhe, ye junuun nahiin to kyaa hai
ke usii ke ho gaye ham jo na ho sakaa hamaaraa

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved