merii aankhon men dekh ke taare sitaare saare sharmaa gaye - Ibrahim Ashk
merii aankhon men dekh ke taare sitaare saare sharmaa gaye
par sajanii ne haal na puuchhaa aur samajhaane sab aa gaye
din suune hain raaten viiraan ik ik lamhaa aaj pareshaan
terii yaad ke kaale saaye shabon par bhii ab chhaa gaye
aah bhii ab kuchh kaam na aaye pyaas badhe aur jaam na aaye
aisii priit kii riit nibhaa ke sanam ham pachhataa gaye
0 comments:
Post a Comment