Monday 28 November 2011

mere aansuuon pe nazar na kar meraa shikavaa sun ke khafaa na ho - Kaif Akrami

mere aansuuon pe nazar na kar meraa shikavaa sun ke khafaa na ho
use zindagii kaa bhii haq nahiin jise dard-e-ishq milaa na ho

ye inaayaten ye navaazishen mere dard-e-dil kii davaa nahiin
mujhe us nazar kii talaash hai jo adaa shanaas-e-vafaa na ho


tujhe kyaa bataauun main bekhabar ki hai dard-e-ishq men kyaa asar
ye hai vo latiif sii kaifiyat jo zubaan tak aaye adaa na ho

ye sharaab rez-e-hasiin ghataa jo hai "kaif" naazish-e-mayakadaa
kisii tashnaa-kaam kii aarazuu kisii tashnaa-lab kii duaa na ho

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved