Saturday 5 November 2011

lau de uthe vo harf-e-talab soch rahe hain - Shakeb Jalali

lau de uthe vo harf-e-talab soch rahe hain
kyaa likhiye sar-e-daaman-e-shab soch rahe hain

kyaa jaaniye manzil hai kahaan jaate hain kis simt
bhatakii huii is bhiid men sab soch rahe hain


bhiigii huii ek shaam kii dahaliiz pe baithe
ham dil ke dhadakane kaa sabab soch rahe hai

tuute huye patton se daraKhton kaa ta'alluq
ham duur khade kunj-e-tarab soch rahe hain

is lahar ke piichhe bhii ravaan hain naii laharen
pahale nahiin sochaa thaa jo ab soch rahe hain

ham ubhare bhii duube bhii siyaahii ke bhanvar men
ham soye nahiin shab-hamaa-shab soch rahe hain

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved