Monday 28 November 2011

kyuun tabiiat kahiin thahartii nahiin - Ahmed Faraz

kyuun tabiiat kahiin thahartii nahiin
dostii to udaas kartii nahiin

ham hameshaa ke sair-chashm sahii
tujh ko dekhen to aankh bhartii nahiin


shab-e-hijraan bhii roz-e-bad kii tarah
kat to jaatii hai par guzartii nahiin

ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!
itnii aasaaniyon se martii nahiin

jis tarah tum guzaarte ho faraaz
zindagii us tarah guzartii nahiin

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved