Sunday 27 November 2011

kuchh ajab zindagii ke manzar hain - Shayar Lucknawi

kuchh ajab zindagii ke manzar hain
duur tak ret ke samandar hain

merii hii roshanii ke paikar hain
chand shaklen jo dil ke andar hain


dil jo thahare to kuchh suraag mile
qarz kis kis nazar ke ham par hain

hai badii chiiz naazukii dil kii
kis se kahiye ki log patthar hain

khul gaii aankh to khulaa ham par
khvaab bedaariyon se bahatar hain

khaamushii khud hai ek gaharaaii
chup hain jo log ve samandar hain

zakhm par kyaa guzar gaii 'Shayar'
rezaa rezaa tamaam nashtar hain

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved