kiije na das men baith kar aapas kii baat chiit - Bahadur Shah Zafar
kiije na das men baith kar aapas kii baat chiit
pahunchegii das hazaar jagaah das kii baat chiit
kab tak rahen khaamosh ke zaahir se aap kii
ham ne bahut sunii kas-o-naakas kii baat chiit
muddat ke baad hazarat-e-naaseh karam kiyaa
farmaaiiye mizaaj-e-muqaddas kii baat chiit
par tark-e-ishq ke liye izhaar kuchh na ho
main kyaa karuun nahiin ye mere bas kii baat chiit
kyaa yaad aa gayaa hai "Zafar" panjaa-e-nigaar
kuchh ho rahii hai band-o-mukhammas kii baat chiit
0 comments:
Post a Comment