Saturday 5 November 2011

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaauungii - Parveen Shakir

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaauungii
main apane haath se us kii dulhan sajaauungii

supurd kar ke use chaandanii ke haathon
main apane ghar ke andheron ko laut aauungii


badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa
main dil men rouungii aankhon men muskuraauungii

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuth sakuungii kise manaauungii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaauungii

bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uthe to Khvaabon kii raakh uthaauungii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gungunaauungii

javaz dhuundh rahaa thaa naii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaauungii

sama'aton men ghane jangalon kii saansen hain
main ab kabhii terii aavaaz sun na paauungii

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved