Monday 7 November 2011

kabhii shaaKh-o-sabz-o-barg par kabhii gunchaa-o-gul-o-Khaar par - Jigar Moradabadi

kabhii shaaKh-o-sabz-o-barg par kabhii gunchaa-o-gul-o-Khaar par
main chaman men chaahe jahaan rahuun meraa haq hai fasal-e-bahaar par

mujhe de na gaib men dhamakiyaan gire laakh baar ye bijaliyaan
merii sar-tanak yahii aashiyaan merii milkiiyat yahii pyaar hai


merii simt se use ai sabaa ye payaam-e-aaKhir-e-gam sunaa
abhii dekhanaa ho to dekh jaa ke Khizaan hai apanii bahaar pe

ye fareb-e-jalvaa-e-sar-basar mujhe dar hai ye dil-e-beKhabar
kahiin jam na jaaye terii nazar inhiin chand naqsh-o-nigaar par

ajab inqalaab-e-zamaanaa hai meraa muKhtasar saa fasaanaa hai
ye jo aaj baar hai dosh par yahii sar thaa zaano-e-yaar par

main rahiin-e-dard sahii magar mujhe aur kyaa chaahiye "Jigar"
gam-e-yaar hai meraa shefataa main farefataa gam-e-yaar par

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved