jab vo masaruur nazar aataa hai - Sikander Ali Wajd
jab vo masaruur nazar aataa hai
har taraf nuur nazar aataa hai
main to maiKhvaar huun tuu kyon saaqii
nashe men chuur nazar aataa hai
qurb se haath uThaayaa main ne
tuu badii duur nazar aataa hai
main hii tanhaa nahiin dil ke haathon
tuu bhii majabuur nazar aataa hai
Khaaksaarii ko chhupaane ke liye
'Wajd' magaruur nazar aataa hai
0 comments:
Post a Comment